top 10 google adsense alternative kya hai hindi me?

Top 10 google adsense alternatives in hindi:-

google adsense ke vikalp kya hai hindi me

google adsesnse के विकल्प:-

loading…

hello dosto, kese hai aap aaj ham is post me google adsense alternatives (विकल्प) ke bare me padhenge.

Agar aap is post ko padh rahe hai to yaa to aapka adsense approve nahi hua hai ya fir aap uske saath dusre ad network ka use krna chahte hai. To aap sahi jagah par aaye hai. Agar aapka adsense account approve nahi hua hai to chinta mat kijiye aap dusre ad network ka pryog krke achha khasa kama skte hai.

Meri ek dusri website hai jisme mera bhi adsense account approve nahi hua hai phir bhi mai usse abhi bhi kama rha hu.

To aaj mai aapko un ad networks ke bare me bataunga jo adsense ke ache vikalp saabit ho skte hai. Inme se jyadatar ad network mene khud try kiye hai to dosto chaliye unke baare me jaante hai.

1:- AdNow:- yah ek native advertising ad network hai. Yh bahut hi accha pay krta ha. Mai iska abhi bhi pryog krta hu. Jisse me achhi earning kar rha hu. Yah bahut teji se popular ho rha hai.

Ek din mai aise hi achhikhabar.com me koi article padh rha tha to vha par mene iske ad lage dekhe. Maine socha yar agr itni badi website me iske ad lage hai to yah achha ad network hoga (aap befikar ho jaaiye yah pay krta hai tatha yah scam ad network nahi hai.)

Agar aap isse $20 kama lete hai to aap isse rupay nikaal skte hai.

Isme apply krne ke liye traffic ki koi requirements nahi hai agar aapki website ka traffic kam bhi hai to bhi aap iske liye apply kar skte hai. Aur ads apne blog me lga skte hai.

Yah ek widget par aadharit ad network hai means aapko isme ad widget create krna hota hai aur ad code copy krke apne blog me paste krna hota hai. Aapke blog me ads dikhne lag jaayenge.

Adnow ke baare me vistar se agli post me padhenge.

To adnow ko join krne ke liye click kre.

adnow-in-hindi

2:- PropellerAds:- propellerads ek pop up ad network hai. Yah CPM par aadharit hai. Yah bhi ek achha google adsense alternative hai. Bahut saare blogger is ad network ka pryog krte hai. Isme aap bahut saare ads jaise banner, pop up aadi pryog kar skte hai.

Jab aap isse $100 kama lete hai to aap paise nikaal skte hai. Yh paypal ko support nahi krta hai aap payoneer ke dwara paise nikaal skte hai. ye hindi blogs ke liye bahut achha hai ek baar try krke dekh lijiye..

join krne ke liye click kre.

propeller-ads-hindi

3:- Bidvertiser:- mene jitni bhi hindi websites dekhi unme sabse jyada do ad network bidvertiser aur chitika ke baare me likha hua tha. To mene socha kyu na inka pryog krke dekha jaaye.

Bidvertiser ek CPM/CPC par aadharit ad network hai. Iske baare me sbse achha mujhe ye lga ki isme aapko sirf account bnana hai aur aap ads ko apne blog me lga skte hai aur jab aapke $10 ho jaaye to aap paise nikaal skte hai.

Mene iska pryog ek hafte ke liye kiya aur mujhe laga ki vakyi yh ek achha ad network hai. Agar aapki website ka traffic achha hai to aap iska pryog krke achha kama skte hai.

4:- Chitika:- jab mene apni site bnayi thi to sabse pahle chitika ka pryog kiya tha. Yh ek achhi ad company hai. Agar aapka website ka traffic kam bhi hai to bhi aap isme apply kar skte hai aapko jaldi approval mil jaayega.

Chitika me samjhne wali baat yh hai ki iske ads unhi visitors ko dikhte hai jo search engines se aaye hote hai.

Jab aapke isme $ ho jaaye to aap isse paise nikaal skte hai.

5:- Taboola:- yh ad network AdNow ki tarah hi hai arthat yah bhi ek native network hai. Isme bhi aap adnow ki tarah hi paise kama skte hai. Taboola me approval milna thoda mushkil hai par aap ise try krke dekh lijiye.

Jyadatar yah adhik traffic wali sites ko hi approve krta hai. Agar aapki site ya blog ka traffic kam hai to aapko approval nahi milega. Aap taboola ke ads ko adsense ads ke saath bhi pryog kar skte hai.

Yah CPM aur CPC par aadharit network hai. Aap isme paise payoneer ke dwara nikal skte hai kyuki yah paypal ko support nahi krta hai.

6:- RevenueHits:– revenuehits ek aur achha network hai jo ki ek CPA aadharit hai CPA ka arth hai cost per action. Isme aapko CPM, CPC ke paise nahi milte hai. Agar koi visitor Ads par click krke koi action leta hai tbhi aapko paise milte hai.

Agar aap isme $20 kama lete hai to aap paise paypal ke maadhym se nikal skte hai.

7 :- PopAds:- yah bhi ek bhut achha ad network hai jo iske publishers ko achha pay krta hai. PopAds koi scam ad network nahi hai. Mai isse acha kama chuka hu aur yah pay krta hai. Iski alexa rank 57 hai arthat yah duniya ke top 60 websites me hai.

Yah ek pop ad network hai aur CPM par aadharit hai arthat yah aapko 1000/page views ke hisaab se pay krta hai. Aap aasani se isme apna account bna skte hai.

Jab aap isme $5 kama lete hai to aap ise nikaal skte hai. Aap isme bahut se methods ke jariye paise nikaal skte hai prntu sabse aasan tarika paypal hai.

8:- Media.net:- mujhe lgta hai ki media.net ek bahut hi achha adsense alternative hai. Lekin pareshani yah hai ki yah hindi bahsa ko support nahi krta hai. Yah Yahoo aur Bing company ka network hai.

Agar aapke isse $100 kama lete hai to aap paypal ke madhym se paise nikaal skte hai.

9:- Amazon ads:- amazon ka naam to aapne suna hi hoga ye affiliate marketing company hai. Lekin yah company CPM ads lagane ko bhi deti hai arthat aap impressions par bhi paise kama skte hai. Prntu yah gine chune users ko hi cpm ads lagaane ki request bhejti hai. Aap khud se cpm ads lagane ke liye nahi kah skte. Kuch dino pahle amazon ka mujhe cpm ads lagaane ka invitation aaya tha to maine iska pryog kiya aur yakin maniye maine isse bahut hi achhi kamai ki. M iska pryog aaj bhi kar rha hu.

10:- Adversal:- adversal jo hai ek CPM ad network hai jiski shuruwaat 2003 me hui thi to yah ek bahut hi puraani company hai. lekin iska approval milna bhi mushkil hai lekin agar isme approval mil jaata hai to achha CPM rate deti hai yah kewal english sites ko hi approval deti hai aur aapki website ka traffic kam se kam 50000 pageviews/month hona chahiye. agar aap isse $20 kama lete hai to aap paise paypal ke dwara nikaal skte hai.

Other useful adsense alternatives:-

1:- adsoptimal

2:- yllix

3:- advertopia

sabse jaruri baat yah hai ki hamara traffic jitna jyada hoga hamari earning bhi utni hi achi hogi to aap apna phle pura focus kaam me dijiye post bnaiye aur tab jaake aap paise kama skte hai.

agar aapne bhi in ad networks ka pryog kiya hai to aap apne experience ko comment ke maadhym se bta skte hai tatha aap koi anya adsense alternative use krte hai hame btaiye..bye happy blogging….

Leave a Comment